“Kitaabein – Gulzar”
~~
Kitaabein jhaankti hain band almaari ke sheeshon se
badi hasrat se takti hain
mahino ab mulakaatein nahin hoti
jo shaamein inki sohbat mein kata karti thi
ab aksar
gujar jaati hai computer ke parde par
badi baichen rehti hain kitaabein
inhein ab neend me chalne ki aadat ho gayee hai
badi hasrat se takti hain
Jo kadrein wo sunaati theen
ki jin ke Cell kabhi marte nahin the
wo kadrein ab nazar aati nahin ghar mein
jo rishte sunati theen
woh saare udhade udhade hain
koi safahaa palat-ta hoon to is siski nikalti hai
kai lafzon ke maane gir pade hain
bina patton ke sookhe tund lagte hain wo sab alfaaz
jin par ab koi maane nahin ugte
bahut si istalaahein hain
jo mitti ki sikoron ki tarah bikhri padee hain
gilaason ne unhein matrook kar daala
zubaan par jaaika aata tha jo safahe palatane ka
ab unglee click karne se bas ik
jhapkee gujarti hai
bahut kuchh tah-b-tah khulta chala jaata hai parde par
Kitaabo se jo jaati raabta tha, kat gaya hai
kabhi seene pe rakh ke let jaate the
kabhi godi mein le lete
kabhi ghutno ko apne rihal ki surat bana kar
neem sajde mein padha karte the, chhote the zabeen se
wo saara ilm to milta rahega baad mein bhi
magar wo jo kitaabo mein mila karte the sookhe phool
aur mahke hue rukke
kitaabe mangne, girne, uthane ke bahaane rishte bante the
unka kya hoga
wo shayad ab nahin honge
~~